Aksar hum facebook pe
bohat sari, pyari pyari, urdu quotes parhtay hain, jo hamain bohat inspire
karti hain, hamain zindagi me kuchh karnay ka jazba deti hain, aisi baatein
parhny ke bad dil karta hai k banda aisi aisi aor quotations parhy aor khud ko
aor motivate karay, lakin phir sath hi hum dubra se Facebook ki dunya me gum ho
jaty hain.
Facebook pe
yaqeenan bohat sary aisy pages hain jo rozana inspirational urdu quotes post
karty hain, aor un pages ke fan like bhi karty hain, lakin aisa mumkin nahi ho
pata k har banday ki soch ke hisaab se quotes post kiye ja rahy hon. Aksar Page
admins apne Facebook page pe urdu quotes apni zaati zindagi ke hisaab se hi
post karty hain.
( Hosla, Jurrat, Jazba, Josh )
1. Kashti sehra pe sab se
zyada mehfooz hoti, lakin kashtiyan sehra ke liye nahi banai jati.
2. Sabar karnay walon ko
sirf utna hi milta hai jitna Koshish karnay walay chhor dete hain.
3. Nakaami ka khauf,
Nakaami se zyada khatarnaak hota hai.
4. Apne aaj ko behtar
banana hi aanay walay kal ki behtreen tayyari hai.
5. Dunya tumhein us waqt
tak nahi hara sakti jab tk tum khud na haar maan lo.
6. Jab kisi cheez se khatra
mehsoos karo to us se bhago mat, uska saamna karo, kyun ke khatra khauf se
behtar hai.
7. Kamyaab log apne faislon
se dunya badal dete hain, aor kamzor log dunya ke darr se apne faislay badal
dete hain.
8. Logo se sath nahi diya
to dukhi mat hona, Khwuaab tumhare hain, koshish bhi tumhein hi karni paregi.
9. Apne sath kabhi bhi
haaray hue shakhs ki tarah baat mat karo.
10. Tum wese hi ho jesa tum
apne baray me sochtay ho. Agar nahi bhi ho to tum apne apko convince kar hi
logy.
11. Har woh cheez jo tum
soch saktay ho, haqeeqat ban sakti hai.
12. Aor jab tum kisi cheez
ko shiddat se chahty ho, to puri kainaat tumhein us se milany me jurr jati
hai.
13. Chhotay zehno mein
hamesha khwuaish aor baray zehno mein hamesha maksad hotay hain.
Inspire (dil moh lena, maail karna)
1. Logo ko "duaaon
mein yaad rakhna" kehne se behtar hai aisa kaam karo k log tumhein duaaon
mein yaad rakhein.
2. Zindagi mein apna woh
mukaam peda karo k zinda raho to log tumhein dil se khush ho k milein, aor agar
mar jao to log sachay dil se tumhein yaad karein.
3. Pehle khud mein woh tabdeeli
lao jo tum dunya mein dekhna chahty ho.
4. Khwuaab dekhne pe umar
ki koi qaid nahi.
5. Zindagi ka maqsad khud
ki talaash hi, balkay apne aapki pehchaan hai.
6. Woh kaam karo jo tumhara
dil kehta hai, dunya ki tanqeed se to tum na aisy bach sakty ho na wese.
7. Dunya mein kabhi kisi
achhay insaan ki talash mat karna, balkay khud achhay ban jao, ho sakta hai
apke is kaam se kisi aor ki talaash khatam ho jaye.
8. Ehm din woh nahi tha jab
aap dunya mein aye, balkay woh din ehm hoga jab aap yeh log logy ke aap is dunya
mein kyun aor kis maksad ke liye aye ho.
Success (kamyabi)
1. Kamyaabi insaani ko
badalti nahi, balkay benaqaab karti hai.
2. Mehnat itni khamoshi se
karo ke apki Kamyaabi logo me hulchul macha de.
3. Ghareeb peda honay pe
apka koi bus nahi, lakin ghareeb reh k ghareeb hi mar jana apka kasur hai.
4. Kamyabi ka diya apke
khoon paseenay se jalta hai.
5. Hakeeki tor par kamyaab
shakhs dusro ko bhi kamyaab dekhna chahta hai.
6. Dushman banany keliye
larai jhagra zaruri nahi. Bus itna hi kafi hai k aap thoray kamyaab ho jayein,
phir dekhiye dushmani kheraat mein mil jayegi.
7. Maazi to khair koi nahi
badal sakta, magar HAAL aor Mustaqbil hamesha insaan ki muthi mein hotay hain.
8. Zindagi musalsal
imtehaan ka naam hai. Yahan dus baar girnay ke bad gyarwi bar uth janay ka naam
kamyaabi hai.
9. Waqt se pehle aor kismat
se zyada kabhi nahi milta.
10. Khushfehmiyon ki ainak
jab utarti hai to har cheez saaf dikhai deti hai, hatta ke apni okaat bhi.
Kamyaab wohi hai jo is ainak ko waqt se pehle utaar lay.
11. Zindagi mein hum zaroor
kamyaab ho saktay hain, agar hum un naseehaton par amal karlein jo hum doosro
ko dete hain.
Struggle (koshish)
1. Mushkelein hamesha Kabil
logo ke raaston mein hi aati hain.
2. Jab duaoon aor kishishon
se baat na banay to faisla apne Rab par chhor do. Khuda apne banday ke liye
hamesha sahi faisla karta hai.
3. Agar tum woh na paa sako
jo tum chahty ho, to usay kubool karlo jo tumhare pas pehle se hai.
4. Mehnat akele hi karna
parti hai, log sirf charhty sooraj ko Salaam karty hain.
5. Jo buray waqt ko bhi
muskura ke guzaar lete hain, koi unka kuchh nahi bigaar sakta.
6. Aadhay adhuray dil se
kiye hue kaamo ka natija bhi aadha adhura hota hi milta hai.
7. Khuda har parinday ko
rizq deta hai, magar us ke ghonslay mein nahi dalta. Rizq hasil karnay ke liye
parinday ko khud koshish karni parti hai.
8. Har Kaamyaab shakhs ke
peechhy aik takleef-de kahani hoti hai, aor har takleef-de kahani ka anjaam
kamyabhi hoti hai. Isliye, takleef sehne ki adat daalna kamyabi ki taraf aik
kadam hai.
Hope and Prayer (ummeed, aas, dua)
1. Kisi se us ki ummeed mat
chheeno. Ummeed ke beghair insaan khizaan ke darakh ki tarah murjha jata hai.
2. Dua karo to puray dil se
aor aitmaad ke sath karo, kyun k khuda ghafil aor laparwah dil ki dua kubool
nahi karta.
3. Zindgi me bhalay hi
kitni bar harna paray, zindagi se kabhi haar mat man'na.
Love (pyar, mohabbat, ishq)
1. Jo tumhein Khushi me
yaad aye, samjho Tum us se mohabbat karty ho, aor jo tumhein Gham me yaad aye,
samjh lo woh Tumse mohabbat karta hai.
2. Andheray ko andherey se
nahi, balkay roshani se khatam kiya jata hai. Usi tarah, Nafrat ko nafrat se
nahi, balkay mohabbat se jeeta ja sakta hai.
Trust and Secrets (bharosa, yakeen, aitbar, raaz)
1. Agar tum kisi ko dhoka
dene me kamyaab ho jatay ho to yeh mat samjho k tum kitne chalaak ho, balkay
yeh socho k us shakhs ko tum pe kitna aitbaar tha.
2. Insaan ke andar se
kamzor honay ki waja aksar usay uskay apno se milay dhokay hotay hain.
3. Jhoot bolnay walay
shakhs ki sab se bari saza yeh k uske sach pe bhi koi aitbaar nahi karta.
4. Aitbaar aor Pyar, do
aisy parinday hain k agar aik urr aye to dusra khud hi urr jata hai.
5. Agar tum apne raaz khud
nahi chhupa sakty to dusro ko bata ke un se raazdari ki ummeed mat rakho.
6. Jis ne kisi ko apne raaz
bata diye to samjho k woh uska mohtaaj ho gya.
7. Dhokha khanay walon ko
to waqt ke sath sabar aor sukoon mil jata hai. Dhoka deney wala hamesha
besukoon rehta hai, aik zehni wazan ke sath.
Breakup and Memories (judai, alag ho jana, yaadein)
1. Agar apne apko dukho se
azaad karna chahty ho to logo se ummeedein wabasta karna chhor do.
2. Aksar, guzri hui khushiyaan
sab se zyada dard deti hain.
3. Achha waqt achhi yaadein
lata hai, aor bura waqt achha sabaq.
4. Jab insaan ko kisi se
rishta torna hota hai to woh sab se pehle apni zubaan se mithaas ko khatam
karta hai.
Friendship (dosti)
1. Ek achhi kitaab 100
dosto ke brabar hoti hai, aor aik mukhlis dost aik library ke brabar hota hai.
2. Koi bhi shakhs us waqt
tak apka sacha dost nahi ho sakta jab tak woh apki ghair-mojoodgi mein bhi apki
izzat na kary.
3. Apne dosto ko naseehat
akele mein karo, aor unki tareef sab ke saamne.
4. Lambi dosti chahty ho to
logo ko apni haqeeqi shakhsiyat dikhao. Apki sachai hi apke rishty behtar
banati hai.
5. Jo shakhs hamesha
tumhara bhala chahta ho, uska pareshaan hona tumhare liye fikr ki baat hai.
6. Bewakoof dost bananay se
se aqalmand dushman banana zyada behtar hai.
7. Bura dost aag ki tarah
hai. Agar khud jala to apko lapait me le lega, aor bujh bhi gya to apke hath
kaalay kar dega.
8. Jahan izzat, sachai aor
khaloos nazar aye, wahan dosti ka hath barhao, warna tumhari tanhai tumhari
behtreen dost hai.
9. Agar dosti ka rishta na
bana hota to insaan kabhi na karta k ajnabi log apno se bhi zyada pyary ho
sakty hain.
10. Dushman se hamesha
bacho, aor dost se us waqt ab woh tumhari tareef karnay lagay.
11. Aisy doston ko chhor
dena behtar hai jo apke dushmano ke sath uth ta beth ta ho.
Life and Behaviors (zindagi, rawayya)
1. Zindagi ka wese hona
jesa tum chahty ho kese mumkin hai, jab na tum apni marzi se peda hue, aor na
apni marzi se maray.
2. Zindgi lambi nahi,
balkay khoobsurat honi chahye.
3. Achhay logo ke sath achhay
se pesh aana bari baat nahi, balkay buray logo ke sath achhay se pesh aana
bohat bari baat hai.
4. Teen Cheezon ko kabhi
chhota mat samjho. Farz, Marz aor Qarz.
5. Mustaqbil behter bananay
keliye maazi ko jaan lena intehai zaruri hai.
6. Aik hi din ko, aik hi
tareekay se, 60-70 saal jee lena zindagi nahi hoti.
7. Koi khushi, koi rishta,
koi jazba kabhi mushkil nahi hota, in ke bhi paaon hotay hain, bus hamara
sulook aor rawayya dekh kar kabhi yeh bhaag kar kareeb ajaty hain, aor kabhi
ahista ahista door chalay jatay hain.
8. Do tarah ke logo se
hamesha bacho. Aik woh jo tum mein woh nuqs bataye jo tum me nahi. Dusra woh jo
tum me woh khoobi bataye jo tum me nahi.
9. Ghuroor aor ghaflat ka
nasha sharab se bhi zyada hota hai, jo is nashay mein mubtla ho jata hai woh
jald hosh mein nahi aata.
10. Alfaz ka intkhaab soch
samjh kar karein, aap ke alfaz apki tarbiyat, khandaan aor apke mizaaj ka pata
dete hain.
11. Khushmizaji aik aisi
khusbu hai jo meelon door se mehsoos ki ja sakti hai.
Wisdom and Consciousness (daanai, danishwari, sha'oor)
1. Insaan ki fitrat ka
andaza us ke chhoty chhoty kaamo se hi ho jata hai. Baray baray kaam to woh
bohat soch samajh ke karta hai.
2. Khushi ki halat mein
waada mat karo, aor ghussay ki halat mein koi faisla mat karo.
3. Tumhari niyyat ki
azmaaish us waqt hoti hai jab tum kisi aisy shakhs ho faida pohnchao jo tumhein
badlay me kuchh nahi de sakta.
4. Koi tum se bhalai ki
ummeed karay to usay mayoos mat karo. Logo ki zarurato ka tumse wasta hona
Khuda ki tum pe inayat hai.
5. Hamesha Sach bolo, takay
tumhein zehn pe zor dal k yeh na yaad karna paray k tum ne kya kaha tha.
6. Kabhi bhi apni kamai aor
apni sehat pe gharoor mat karna, kyun k ghurbat aor bemari aatay waqt nahi
lagta.
7. Logo se pyar karo, aor
cheezon ko istmaal karo. Iska ulta karogy, to zindagi me kuchh seedha nahi
hoga.
8. Apni zubaan ko soch
samjh ke istmaal karne wala hamesha faiday me rehta hai.
9. Lafz insaan ke ghulaam
hotay hain, magar sirf bolnay se pehle. Bolnay ke baad tum us ke ghulaam ban
jatay ho.
10. Paisay ka sath sirf maut
tak aor Apno ka sath sirf Qabar tak hota hai. Lakin apni zindagi me kiye hue
achhay kaam marnay ke baad bhi saath dete hain.
11. Tabdeeli na to koi laa
sakta hai, aor na hi koi rok sakta hai. Bus iska hissa ban sakta hai.
12. Saanp se zyada insaan se
daro. Saanp sirf apne dafa keliye dasta hai, aor insaan apne mufaad ke liye.
13. Mard ka imtehaan aorat
se, aor aorat ka imtehaan paisay se hota hai.
Simplicity (sadgi, saadgi)
1. Zindagi zaruraton ke
hisaab se jiyo, khwuahisho ke hisaab se nahi. Kyun k zarurat faqeer ki bhi puri
ho jati hai, aor khwuahish badshaho ki bhi adhuri reh jati hai.
2. Hakeekat mein, zindagi
bohat asaan hoti hai, hum khud hi isay, jaanay anjaanay mein, mushkil bana lete
hain.
3.
4. Education, Knowledge and
Learning (taleem, ilm, tarbiyat)
5. Halaat ko behtreen
bananay keliye dolat, aor Khyalaat ko behtreen bananay keliye sirf kitaabein
chayein.
6. Dil ki tarbiyat kiye
beghair dimaagh ki tarbiyat karna beghair bekaar hai.
7. Ilm aik aisi dolat hai
jisay ap se koi bhi nahi chheen sakta.
8. Kitaabon ke bina ghar
aisy hi hota hai jese rooh ke beghair jism.
9. Agar aik kitaab ko
dubara parhnay ka dil nahi karta, to usay pehli bar parhna bhi tumhare liye
khaas fayedymand nahi.
10. Dimaagh ko tez karne
keliye kitaabein aisy zaruri hain jese talwaar keliye us ki behtreen dhaar.
11. Jo saanp apni khaal nahi
badal sakty woh maflooj ho jaty hain, aor jo log apni soch nahi badal sakty, un
ke zehn maflooj ho jaty hain.
12. Dimaagh ke liye parhai
wese hi hai, jese jism ke liye warzish.
13. Bolany se ap sirf wohi
cheez keh rahay hotay hain jo aap pehle se jantay hain, jabkay dusro ko sun'ne
se aap nayi cheezon ke baray mein jaan sakty hain.
14. "Samajhna"
'jaan lene' se behtar hai.
Family (khandan, ghar)
1. Jo Shakhs apne ghar
walon par sawab ki niyyat se kharach karay, to woh us keliye sadqa hi samjha
jayega. (Bukhari - Jild 1. 53).
2. Apni saas ke sath wesa
hi rawayya rakhein jesa rawayya aap chahti hain k apki bhabhi apki maa ke sath
rakhay.
3. Ghar ka sirf naam asaan
hai. Ghar bastay bastay bara waqt lag jata hai, bohat si baaton par sabar karna
parta hai, bohat si baaton ko nazar andaaz karna parta hai. Sabar, tahammal,
bardasht aor samjhotay ghar basany ke liye bohat zaruri hain.
4. Apkay chhotay apke
naqsh-e-qadam par chaltay hain, naseehaton par nahi.
Society (muashra, awaam)
1. Beti, Barish aor
Bemaari, zyada dair tak rahay to sab pareshan ho jatay hain.
2. Hum us badnaseeb moashry
ka hissa hain jahan husn ka mayaar gora rang aor aqal ka myar angrezi zubaan
hai.
3. Agar ham apne faraaiz
ada karna shuru kardein to hamary hukook ka masla khud ba khud hal ho jayega.
Kyun k hamary faraiz dusro ke hukook hain.
4. Talaaq mard deta hai aor
daagh aorat ke maathy par lagta hai chahay us mein aorat ka kasoor ho ya na ho.
Mard se koi nahi puchhta k beta tum ne apni biwi ko kyun talak di? Lakin aorat
ko kadam kadam par yeh ehsaas dilaya jata hai k tum hi achhi biwi ban'ne ke
like nahi.
5. Agar niyyaton ka asal
chehron pe nazar anay lagta to muashry ka har fard naqaab karnay par majboor ho
jata.
6. Mard ka gunah waqt ke
talaab mein kankar ki tarah doob ata hai, balkay aorat ka gunah sari umar
kanwal ke phool ki manind terta rehta hai.
7. Hum us badnaseeb moashry
ka hissa hai jahan sarkari mulazim kaam na karnay ki tankhwa aor kaam karnay ki
rishwat lete hain.
8. Hamara muashra ab aisa
ban chuka hai k yahan kahaniyan likhnay walay hi hain, lakin kahaniyan gharnay
walay jagah jagah mileingy.
9. Bhari jeab se dunya ki
pehchaan hoti hai, aor khali jeab se apno ki.
People (log)
1. Jab kisi se tumhara dil
bad-gumaan honay lagay to foran uski achhai ki yaad karo.
2. Kisi ko chhota samjh kar
usay haqeer mat samjho, kyun ke raasty ka chhota sa pathar bhi apko mu ke bal
gira sakta hai.
3. Achhay logo ki sab se
bari pehchan yeh hoti hai k unhein yaad nahi rakhna parta, woh khud yaad ajaty
hain.
4. Agar tumhein kuchh
chhota dikhai de rha hai to uski 2 wujohaat hain, ya to tum usay door se dekh rahy
ho, ya ghuroor se.
5. Samjhdaar woh nahi jo
bari bari baatein karay, balkay woh hai jo chhoti chhoti batein samjhay.
6. Har insaan ki zindagi ka
apna munfarid maksad hota hai. Sabhi insaano ko ek hi tarazu me nahi tola ja
sakta.
7. Un logo ke sath to
guzara ho sakta hai jinki tabiyat kharab ho, magar un ke sath nahi jin ki
tarbiyat kharab ho.
8. Kuchh log kismat ki
tarah hotay hain jo duaaon se miltay hain. Aor kuchh log dua ki tarah hotay
hain jo kismat hi badal dete hain.
9. Jab tangein khenchny
walay achanak taangein dabany lag jayein to samjh jao k daal mein kuchh kala
hai.
10. Logo ko is baat se gharz
nahi hoti k aap khush hotay hain ya nahi, unhein farq is baat se parta hai k
aap unhein khush rakhtay hain ya nahi.
11. Logo ko bewakoof bananay
se kahi zyada mushkil kaam logo ko is baat pe qaail karna hai k woh bewakoof
banaye ja rahy hain.
Respect (izzat)
1. Logo ko utni ehmiyat do
jitni woh tumhein dete hain. Zyada dogay to log tumhein mamooli samjhein gy,
aor kam dogay to kam-zarf kehlao gy.
2. Teen kaam logo ki nazar
me tumhari izzat barhaty hain. Salaam kehna, kisi ko apni Jagah dena, aor logo
ko unke asal naam se pukarna.
Jealousy, Envy and Critical Personality (hasad)
1. Hasad na sirf zehni
mareez banati hai, balkay tumhare musbat sochne ki takat chheen leti hai.
2. Kisi ki khaamiyan
talaash karna insaan ko us makhi ki tarah bana deta hai jo insaa ke saaf jism
ko chhor kar sirf zakhmo par hi baithti hai.
3. Kuchh logo ko hamari
zarurat nahi hoti, woh sirf yeh dekhte hain k hum un ke liye kis had tak mufeed
sabat hotay hain.
4. Hum Nafrton ke is qadar
aadi ho chukay hain k mohabbatein baantny walay ko bhi shak ki nazar se dekhte
hain.
5. Haasid ki saza yehi hai
k woh tumhare khush honay pe khud ghamgeen ho jata hai.
6. Hasadd aik zehr ki
manind hai, jo insaan khud peeta hai magar us se dusro ke marnay ki tawaqqa
karta hai.
Thankfulness, Patience and
Gratitude (shukar, sabar, itnzaar)
1. Teen cheezein insaan ko
takabbur me daal deti hain. Apne aap ko dusro se behtar samjhna. Apne Gunah
bhool jana. Apne Khuda ka shukar na karna.
2. Pareshani khamosh honay
se kam, sabar karne se khatam aor shukar karany se khushi me badal jati hai.
3. Sabar 2 tarah ka hota
hai. Aik, jo na-pasand ho usay bardasht karna. Dusra, jo pasand ho uska intzaar
karna.
4. Apni soch achhi rakho.
Tum jisay jis soch ke sath dekhogy woh tumhein wesa hi nazar ayega.
Luck (kismat, naseeb,
mukaddar)
1. Khuda se maango to
naseeb mango, aqal nahi, kyun ke baray baray aqalmand aksar naseeb walon ke
ghulam hotay hain.
2. Kismat ki baat sirf
kamzor aor bebus log karty hain.
Happiness and Positivity (khushiyan, musbat rawayya)
1. Musbat rawayya yeh nahi
k tum burai ko bura jan ke us se bad-dil ho jao, balkay apni achhai ko us pe
haavi kar ke uska saamna karo.
2. Khushiyan bani banai
nahi peda ho jati, inhain dhoondna parta hai, peda karna parta hai.
Anger (Ghussa)
1. Gussay ki halat ki mein
kabhi koi faisla mat karo. Gussa waqti tor ka hota hai, khatam ho jata hai, par
faisly aksar zindagi badal dete hain.
2. Agar kisi ki shakhsiyat
ki khoobsurati dekhni hai to usay ghussay ki halat mein dekho k woh kese baat
karta hai.
3. Gussa us sulagti hui
lakri ki manind hai jo dusro ko jalanay se pehle khud jalti hai.
4. Gussa karna aisy hi hai
jese kisi aor ki ghalti ki saza khud ko di ja rahi ho.
5. Gussa woh wahid kefyat
hai jis mein aapki zubaan apke dimaagh se zyada tez kaam karti hai.
6. Lafzo ke daant nahi
hotay, magar yeh kaat lete hain.
Doubts (Shak)
1. Shak ki deemak
sadiyon purany taluqaat ko bhi hamesha ke liye khokhla kar deti hai
2. Khud ko gumm kar dene ke
liye hamesha kisi jangal ya veerany ki zarurat nahi hoti, shakook-o-shub'haat
aor khwuaisho ka ambaar bhi khud ko kho denay ke liye kafi hai.
Relationship (rishtay)
1. Kabhi kisi ko jaan boojh
kar azmaish me mat dalo. Ho sakta hai woh kisi majboori ki waja se apki azmaish
pe pura na utray, aor tum us se badgumaan ho betho.
2. Apno ko hamesha apni
mojoodgi ka ehsaas dilaty raho, warna waqt unhein apke bina hi jeena sikha
dega.
3. Agar kisi ko ghuroor ho
k woh jitni bar bhi ruthayga tum usay mana logay, to us ka yeh ghuroor tootne
mat do.
4. Jab koi shakhs naraazgi
khatam karne me pehal karay to uska yeh matlab nahi ke woh ghalat tha, balkay
uska matlab hai k uski nazar me tum usay apni anaa se bhi zyada aziz ho.
5. Rishtay tornay ka
mashwra to koi bhi de sakta hai, magar rishtay jornay aor nibhany ki targheeb
koi ba-shaoor shakhs hi de sakta hai.
6. Rishtay nibhany ka zarf
na ho to rishtay bananay se bhi guraiz karna chahye.
7. Waqt mitti daal deta
hai. Yaadon Par. Maazi Par. Aarzoo Par. Ghaltiyon Par. Chahton Par. Yahan tak
ke rishton par bhi.
8. Rishtay kharab honay ki
aik waja yeh bhi hai k log jhukna pasand nahi karty.
9. Takabbar se paak guftgu,
mufaad se paak mohabbat, laalach se paak khidmat, khud gharzi se paak dua,
sachay rishton ki daleel hai.
10. Rishtay aor sheeshy,
dono hi insaani ghaflat se toot te hain. Hamain yeh yaad rakhna chahye keh
sheeshy ka mutbadil mil jata hai, magar rishton ka mutbadil nahi milta.
Forgiveness and Mistakes (maafi, ghalti)
1. Logo ko is tarah maaf
kar diya kar diya karo jis tarah apne Rab se ummeed karty ho k woh tumhein maaf
kar dega.
2. Dil ke darwazy kabhi bhi
kisi par mukammal band nahi karnay chahye. Ghaltiyan insaano se hi hoti hain.
Baaz log wapis lotna chahty bhi hain, lakin unhein darwazy band milty hain.
3. Rishton ki rassi tab
kamzor hoti hai jab insaan ghalat fehmi mein peda honay walay sawaalon ke awab
bhi khud hi bana leta hai.
4. Kisi ki narazgi ko itna
tool na do k usay tumhare baghair jeenay ki adat ho jaye.
Mazeed quotes, beautiful Urdu lines, great sayings aor Urdu dialogues rozana ki
basis pe add kiye jatay hain. Takay yeh single post hi quotes ki khoobsurat
tareen collection ban jaye.